Type Here to Get Search Results !

google pass key kya hai ? full guide step by step in hindi

Hello aaj hum apke liye technology related new post lekar aye hai. Aaj ke samay ham sabhi ke internet per bahut sare accounts hote hai. Jaise Facebook,Instagram,Twitter etc aapka in me se kisi Na kisi social media per account jarur hoga. Aaj ke time ine sabhi accounts aur inke password ko yaad rakhna ek muskil kaam hai. Ham apke isee post me apke problem ka solution lekar aaye hai. Is trick se apne account ko biometric fingerprint se kisi bhi account ko aasani  se login kar payege. Aap ise trick ka use chrome, instgram app ko bina password ke aasani se log in kar payenge. Yaha service Google ke dwar diya jata hai ise Google passkey kahte hai. Google passkey se hum google ki services ke password ko easily manage kare sakte hai. Google passkey ki khaas baat aap kisi bhi website bina password dale aap sidhe login kare sakte ho. Iske istemal se apko pahle ki tarah bahut sare password yaad rakhne ki jarurat nahi hogi.

Aaj ke time me sabhi tech company password ki jagah pass key ka use karne par jor de rahi hai. Tech company password system ko khatam karne  ja rahi hai. Iske liye unhone pass key feature sabhi online account ke liye rollout kar diya hai. pahle ham apne mobile ke har app ka rakhte thy. Pass key feature  me apke mobile ka password sabhi apps ka password ban jayega aur apko har app ke liye alag alag password yaad rakhne ki jrurt nahi padegi. Google ne bhi apne sabhi account ki security ke liye Google pass ka feature lekar aayi hai. Google ne pass key ka feature sabhi google account per 3 may se ise feature ko jode Diya hai. Google ke according iska use karne ke liye apko passkey ko ek baar generate karni padti hai. Uske baad apko kabhi password dalne ki jarurat nahi padegi aur na hi 2 hai step verification ki jarurat padegi. Aap kewal passkey se google account use kare sakte hai.

Google pass key work kaise karta hai?

Google passkey ek cryptography key ki tarah hota hai. Hum yaha kaha sakte hai Google pass key password ka ek combo pack hota hai. Yaha apka publicly aur private password dono hi hota hai. Apka private password vaha hota jo apke mobile ko lock karne ke liye aap use karte hai. Publicly password vaha hota hai Jo Google ya kisi aur tech company ke server par hota hai. Aap google pass key ka use Android platform aur iOS platform dono per kare sakte ho.

Google Pass key kye jaruri hai?

Google pass key apke password ko safe rakhta hai. Google pass key ka use karne se pahle apko kuch bate pata hona chahiye. Aap password ka kitna use karte ho. Yadi aap bahut sare social media account chalate hai tab apko Google pass key ka use jarur karna chahiye. Tab apko kisi social media account ka password yaad rakhne ki jarurat nahi padegi. Apko jab bhi kisi social media account par login karna hoga tab aap bhi password dale sidhe login kar sakte hai. Ab apko sabhi social media ke alag alag se password yaad rakhne ki jarurat nahi padegi.

Password aur Pass key me kya difference hai

Password aur pass key me kafi difference hota hai. Jab aap password ka use karte hai usme apke alphabet (A-Z,a-z) ya fir number (0-9) , ya special character (@,#,+,*) ka use karte hai. 

Aap jab password ka use karte tab apko har bar logi ke liye password yaad rakhna padta hai. Vahi pass key ek password management tool hai. Iske dwara aap apne password ko achhi tarah surakshit rakha sakte hai.

Pass key (Google password manager) apki safety kaise behatar hoti hai?

Jab aap google pass key jaise password manager karte hai to apke account ki security ko safe rakhne me bahut tarah se help karta hai.

  • Google pass key apko unique aur strong password ke suggestions deta hai hai jo apke account ko safe rakha sake.
  • Google password manager apke dwara save kiye hua password yadi kisi ko pata chal jaye to waha Password ko change karne me apki help karta hai.
  • Google pass key apke password ki safe banaye rakhne ke liye encryption ka use karta hai. Isme password ko dekhne ke liye apko vapas se sign karna padta hai.

Google pass key ko apne account par active kaise kare step by step full guide

Aap google pass ko apne account par activate karna chahte hai to apke pass sabse pahle ek Gmail ya apke pass ek google account hona chahiye. Yadi apke pass google account hai tabhi aap google account ki settings me jakar pass ko set kar payenge. Apko hum kuch simple steps ko follow karna hai. 

Step-:1 apko sabse pahle apne google search par jakar. google account likha kar search karna hai. apko niche wali image ki tarah apko mobile ya pc ke right side side upper corner google account apko dekhne ko mile jayega apko ise par click karna hai.
google account search karo
Step-:2 jab aap google profile par click karte hai. Tab apko image ke niche Manage your google account ke option show hone lagega. Ab apko is par click karna hai.
manage your google account par jaye
Step-:3 aap jaise hi manage your google account par click karte tab apke screen par bahut sare option dikhye dene lagte hai. Apko yaha par security wale option par Jana hai.
security wale option par jaye
Step-:4 aap jab security tab par aate hai. Tab apki screen par passkey wala option show hoga. Apko ab pass key wale option par click karna hai.
google pass key wale option ko select kare
Step-:5 aap jab pass key option par click karte hai tab use pass key option show hoga. Apko yaha par continue click karna hai 
continue button par click kare
Apke click karne ke baad apko google verification ke liye apko ek baar log in karna hoga aur apki pass key set ho Jayega. Ab aap jab next time google par log in karenge tab apko password ki jarurat nahi hogi. Aap apne mobile ke fingerprint lock pattern lock, pin lock se apne google account ko bahut easily use kare payenge.

Conclusions

Friends aaj humne apko google pass key ke bare me puri jankari di. Apko hamari post achhi lagi hogi. Aap hame comment kar bata sakte. Apko post related koi doubt ho to hame comment kar bata sakte hai. Aapse fir milte hai ek post ke saath tab tak liye good bye.

Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.